Suno naa – Ek Nayi shuruwaat

Suno naa – Ek Nayi shuruwaat

Suno naโ€ฆ fir se koshish karte hai
Thoda thoda hum dono hi badalte hai
ab bht hua na, yun khafa hoke juda rehna
aao na, 2 kadam fir se saath chalte hai
ik dooje ko fir se samajhte hai
ek nayi shuruaat krte hai

yun kab tak, kaise aur kyu rahenge hum juda
umar guzar jayegi imtihaan mai kya
meri to ab, aise koi zindagi hi nahi
is rishte ko aise hi nibhaoge kya

tumhe yaad hai na, wo der shaam waali evening walks
shaadi se pehle waali wo late night talks
hum sb kuch kitne achhe se discuss kiya karte the na
kabhi office ki baatien, ki kabhi dosto se mulaakaate
har pal ko kitne khushi se jeeya krte the na

mujhe bohot achha lgta tha, tumhara wo sham ko office se aake mujhe hug krna
fir beth ke chai ke table pe, humaare din bhar ki baato ko discuss krna
kaise kho gya na, wo choti choti baton pe ruthna manana
fir jhagda khatam khatam karke, ek dooje ko pyaar se gale lagana

bohot yaad aata hai, tumhaara meri wo care karna
apne dil ka har khayaal, mujhse share krna
mujhe shopping per le jaana,
kitchen mai meri help karna
apne bohot busy schedule mai se
mere call ka time spare karna

ab akele nhi hoti, mujhse care meri
ek na ek cheej chooth hi jaati hai
thaam lo na mera haath fir se tum
bin tumhaare ye zindagi, rooth hi jaati hai

jaanti hu, tumhaare bhi liye asaan nhi hai
per fir mujhe aise hi tannha chodh doge kya
maanti hu, mushkile bht hai darmiyaan humaare
per fir tum koshish bhi nhi karoge kya
mere har khayaal mai ho, har khawaab mai tum ho
meri to puri duniya bhi tum hi ho,
aur tum bhi to kehte the na, mai zindagi hu tumhari
to ab mere bina hi zindagi jee loge kya

One thought on “Suno naa – Ek Nayi shuruwaat

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back To Top
× How can I help you?