Aaj subha se hi pura ghar khane ki mehak se bhar utha tha. Nashte me aaj sab kuch babu ji ki pasand ka bana tha, Pohe, allu ke paranthe, ghar ka bana makkhan, garma garm kheer sath me dudh wali kadak chai aur fal bhi. Bahu ne Babu ji ke liye khana thali me parosa aur babu ji ne chup chap nashta kiya aur apna purana sa thela uthaya, na jane kis sadi ki bhi akhri sanse leti hui chamde ki chappal pehni, khasta halat me khali apni cycle ki chain theak ki aur bhar ko chale gye. Abhi ek mod hi mude the ki chappal tut gyi, chappal jodne ki koshish ki par vyarth. Fhir apna thaila uthaya aur cycle par sawar hokar chal pade. Mushkil se 1 meel chale ki ab cycle ki chain nikal gyi. Ab chain theak krne ki koshish ki to chain tut ke hath me aa gyi. Cycle ko sath me gasette huye jese tese kar nange pau babu ji bank pahuche. Unko dekhte hi waha ke manager apni kursi se khade ho unke pass aye, pair chu kar ashirwad liya. Are babu ji ap yaha, mujhe bata diya hota mai apko le ata. Ap kaha aye itni garmi me. Shammu babu ji ke liye sharbat ka intzam karo. Babu ji ap betho mai pani leke aya. Babu ji ne pani pe kar ramesh ka hal chal pucha. Waqt Waqt ki baat hai. Bachapan me ramesh ke mata pita gareeb the, jitni kamayi hoti thi usme bus ghar ka kharcha hi badi mushkil se chalta tha. Office ate jate samaye babu ji ramesh ko dekha krte, ramesh kabhi pen bech raha hota to kabhi khilone. Babu ji ne ramesh ke mata pita se baat krke uski sari padhayi ki jumewari apne upar le li. Nateeja ye hai ki ramesh aj bank ka senior manager hai. Babu ji ne ramesh ko apne kagzat dikhaye. Ramesh ne unko unki pension ke 20000 Rs nikal ke de diye aur btaya ki abhi kuch din phle hi unke ghar beti hui hai. Babu ji ne shagun ke tor pe pension ki rakam me se 500 rupee ramesh ko bitiya ke shagun ke de diye. Ramesh ne bhut jor lagaya par babu ji ki payar bhari zid ke age uski ek na chali. Babu ji ko ghar chodne ke liye ramesh ke apne driver ko gadi niklne ko kaha, babu ji ne bhut mana kiya abki baar babu ji ki ek naa chali. Ramesh ke kahe anusaar driver ne raste me bauji ko nayi chappal khareedi aur unki cycle bhi theak karwayi. Ghar pahuche ki the ki bahu ne ghar ki chokhat par hi rok liya. Babu ji ke liye ye kon sa phli dafa tha, subha ke shahi nashte se hi sab samjh gye the babu ji. Unhone sare paise bahu ke hath me rakh diye aur andar sofe pe jakar beth gaye. 500 rs kam dekh kar sheela aag baboola ho uthi. Noto ki ginti dobara ki fhir 500 rs kam, chilate huye pure ghar me shor macha diya, Deepak bhi shor sunke niche aa gya. Bahu gusse me babu ji ke pass ayi to dekha nayi chappal ab to sheela ke gusse ka koi dhikana hi na raha. Kya kya khari khoti na sunayi babu ji ko dono pati patni ne milke. Es umar me na jane kaha jana hai unhone jo nayi chappal leke aye hai, agli baar se chinku ke papa ko bhejungi sath. Ayashi sujhi hai inko. Yaha kitti party ki kisht deni hai, parlour wali ko advance dena hai, Car ki service krwani hai, interior decorator ko bula rakha hai uski payment krni hai. Par nhi inko to apni padi hai. Ek taraf Ramesh ka aadar satkar karna aur dusri taraf apne bete bahu ki esi baton ne babu ji ki ankhein nam kardi. Man hi man vo soch re the ki unka ramesh ko padhane likhane ka faisla sahi tha ya apne khud ko bete ko zingdi ki har sukh suvidha dene ka..
Ultimate 💓 touching story…..
Thank You Ashwani for your kind words ☺️
Hard truth of real life..😶
Yeah true. Thank You Param. 🤗
Very emotional story
Thankyou Prabhjot ☺️
Nice one 👍
Thank You Vanita 🤗
Too much emotional.
Very sad but todays reality
Thank You Indev ☺️
Well done.
Keep it up 😇
Thank You Shaweta dear 🤗
Amazing story 👌🏼
Thank You Dear 🤗
Very emotional and today’s real story. Best part of the story is the way its writen. May be i can’t describe that and can say way its written is excellent.
Thank You Gaurav Ji. Your words really means alot ☺️